Tuesday 22 April 2008

yun hi nain bane hain Jagjit...

satarday ki shaam ka mujhe us sin se intzar tha jis din maine Ghazal King Jagjit sinhg ji ke show ka tickit kharida tha. jab 7.30 p.m. ko main nehru centre gaya to, ek ajeeb si khushi dil main thi. 8 p.m. par Jagjit ji ne Ghazal gana shuru kiya. pehli Ghazal thi "ye inayten gazab ki, ye bala ki meharwani..."
iske baad jo dour chala to raat 11 baje tak chalta raha. such kahoon to Jagjit ji ko sunne ke baad kisi dusri hi dunia main chala jata hai. jab aap cd ya dvd main sunte hain tabhi ek ajjeb sa ehsaas hota hai, phir saamne sunna to or hi baat hai.

No comments: