Wednesday 16 April 2008

aaj bahut dukh hua

Subah jab mainne aankhen kholin to T.V. on karne mann hua. jaise hi T.V. chalu kiya to ek hi story sabhi channals par thi ki Gujrat main Badodra ke paas ek bus nadi main ja giri, jismen 55 bachchon ki maut ho gai...
ye khabar sachmuch dil dehla dene wali thi. isliye kyonki savaal bachchon ka tha. mujhe dukh hua un masoomon ki mout ka jo exzam dene ja rahe the. par unhen ye nahin pata tha ki ye unki zindagi ki hi aakhri pariksha hogi...
vahin mujhe gussa aaya Gujrat Rajya Parivahan par jinke paas itni khastahaal buses hain ki kabhi bhi, kahin bhi, koi bhi haadsa ho jai. dusra ye ki buses main zaroorat se jyada savariyan bhar di jati hain. prashasan ko is baat ka khayal rakhna chahiye ki buses ki condition ko thik karen or andhadhund savariyan bharne walon par action len...
logon ki mout ke baad rahat rashi ki ghosna kar dene se unki zindagi vapas nahin aa jati hai. na hi unke pariwar walon ke dilon rahat milti hai. jiske pariwar ka sadasya chala gaya ho unhen chand paise kya rahat de sakte hain...?

No comments: