Tuesday 22 April 2008

gunahon ka nahin prem ka devta...

Ek writer jab chahe kisi ko hansa sakta hai or jab chahe rula sakta hai. yahi khasiyat hoti hai ek achche writer ki. haal main hi maine Shree Dharmveer Bharti ji ka novel "gunahon ka devta" padha. shayad pehli baar pyar ki sahi paribhasha mere samajh main aai hai.
novel main unhonne jo charector liye hain ve aajtak mere dimag par havi hain. is novel ko padhne wala shayad hi koi shakhs aisa hoga jo roya na ho. novel ke charecter Sudha or Chandar aapke dil-o-dimag main kuch is tarah utar jate hain, jaise ye unki nahin aapki kahani ho.
pata nain Bharti ji ne kish mood main is novel ko likha hoga. ek baar padhne ke baad ise dobara padhne ki ikcha hoti hai. ek insaan jo kisi ko itna chahta hai ki uski khushi main hi apni khushi samjhe ye bataya hai Bharti ji ne. Sudha ki shaadi ke baad Chandar logon ki baton mian aaker kaise galat raaste par jata hai. uske baad Sudha ki mout ke samay wah phir se sudhar jata hai. pehli baar main us prem ko padha jo sirf Bhagwan hi kar sakta hai, insaan ke bas ki baat nahin hai.
kaash ki dunia main log aaisa pyar kar pate to dunia kya se kya hoti... main manta hoon ki ye sab kitabon ki baten hain par hum aaisa prem karen to shayad prem hi prem reh jay dunia main. prem ka matlab sirf pana hi nahin hota hai, khona bhi to pyar hai! or jo pane ki tamanna rakhte hain wo pyar nahin karte... khair Bharti ji aaj janhan bhi hon main unko pranam karta hoon.........

No comments: